Alam Abbas ka Shah ka Tazia Sajaya Ja Raha Hai | Noha 1443 | Lyrics
- Get link
- X
- Other Apps
Alam Abbas ka Shah ka Tazia Sajaya Ja Raha Hai
Jise banna hai har Azakhane Chale Bulaya ja raha hai
Koi puche Agar ke hai kya fayda
batao to Zara Ghame Shabbeer ka
To Batla do unhen Jo soye Hain unhen jagaya ja raha hai
Wo dekho dasht main Aza Hone lagi
Jo zinda Fikr thi Jawa Hone Lagi
Utho ae Hur Utho Suye Sarwar Chalo Bulaya Ja Raha hai
Sitam auqat me Qayamat tak rahe
Sitam ruswa hua zamana ye kahe
Tabassum se use sare Maqtal tabhi rulaya ja raha hai
Azakhane me ek ajab manzar dikha
Kahi parcham saja kahi jhula rakha
Kahi par Tazia shahe mazloom ka banaya ja raha hai
Madad ko Aayiye Ali e Murtuza
Ke Kunba Dasht Me Hua hai Berida
Unhe darbar me bhare bazar me phiraya ja raha hai
Jari ke Hath ko Qalam Jisne Kiya
Wo ab Napaid Hain Sitam Jisne Kiya
Magar Har Mulk me Jari Ka ye Alam Uthaya Ja Raha Hai
Ye hai Farshe Aza Yaha jo ayega
Dua e Sayyeda Wo Leke Jayega
muqaddar Har Bashar ka is darbar me banaya ja raha hai
Kahi pe Hazri Kahi Nazre Imam
Kahi Langar Lute Kahi Pani Ke Jaam
Jo Pyasa Hai Use Bulakar Dekhiye Pilaya Ja raha Hai
Har Ek Zarre pe Hai Udasi Ka Samaa'n
Kahi'n Majlis me Hai Shahe Dee'n Ka Baya'n
Kahi'n Par marsiya Shahe Mazloom Ka sunaya ja raha hai
Jo Azam Ne Likha Ye Nauha Shah Ka
Kahi'n Majlis me Jab Mudassir ne Padha
To Yoo'n Lagne Laga Ke Manzar Dasht Ka Dikhaya Ja Raha Hai
- Get link
- X
- Other Apps
Comments
Post a Comment
Thank You for commenting us. We will shortly review you comment.