Celebrating the Birth of Imam al-Mahdi, the Awaited Savior

The Wiladat (birth) of Imam al-Mahdi, also known as Imam-e-Zamana or the Twelfth Imam, is a momentous occasion for Shia Muslims. This day marks the birth of the awaited savior who holds a special place in Islamic eschatology. Join us in exploring the significance of the Wiladat of Imam al-Mahdi and the joyous celebrations that accompany this auspicious event.   1. Birth of the Guiding Light:    The Wiladat of Imam al-Mahdi is celebrated on the 15th day of the Islamic month of Sha'ban. Believed to be born in 868 AD, this revered Imam is considered the twelfth and final successor in the lineage of Prophet Muhammad. Shia Muslims commemorate this day with profound gratitude, recognizing Imam al-Mahdi as the beacon of hope and justice.   2. Anticipation of the Mahdi's Return:    Imam al-Mahdi is believed to be in occultation, a state of concealment, and Shia Muslims await his return as the ultimate guide and justice-bearer. The Wiladat serves as a re...

EK BAAR MUJHE BABA KA DIDAAR KARADO | ALI NAJAF RIZVI | NAUHA LYRICS

 EK BAAR MUJHE BABA KA DIDAAR KARADO | ALI NAJAF RIZVI | 


**Noha Lyrics**

—————————

••Taboot chala ghar se to zainab ye pukari


••Sau baar behen aap pe qurbaan Ho bhai

Ek baar mujhe baba ka deedar kara do


••Taboot chala ghar se to zainab ye pukari

Ek baar mujhe baba ka deedar kara do


1. Ye daagh yateemi ka na seh paungi bhayya

bin baap ke zinda nahi reh paungi bhayya..(2)

deti hu tumhe khaliqe akbar ki duhai

Ek baar mujhe baba ka deedar kara do


2. Dil ghum se phata jata hai ankho me nahi noor

Kulsoom tadapti hai to abbas hai ranjoor..(2)

Mano ye meri baat ke zainab hai dugaai


3. Amma hai nahi sar pe na ab baap ka saaya

Ye kaisi musibat ki ghadi aayi khuda ya..(2)

Abbas zara roklo badhkar ye sawari


4. Baba to mera saare zamane ka wali hai

Mehboob e khuda wand hai damaad e nabi hai..(2)

Kis jurm pe zalim ne hai talwaar lagai


5. Sajde me kiya qatl Mohammad ke wasi ka

Kyu khoon bahaya hai imam e azali ka..(2)

Hay hay bine muljim ka zara sharm na aai


6. Jibreel ka ustad mohammad ka wafadaar

Masjid me hua qatl zamane ka madadgaar..(2)

Koofe me har ek simt ghata ghum ki hai chhai


7. Rukh karke baqiyya ki tarag boli wo ghumkhwaar

Kyu aale Mohammad hai musibat me giraftaar..(2)

Amma mere baba ko ye kaisi ajal aai


8. Ab kaun yateemo ka khabargeer banega

Majboor ka laachar ka dilgeer banega..(2)

Kaunain ke mukhtar se hoti hai judai


9. Ye kehke azeem hogai behosh wo muztar

Mai jee ke karu kya jo nahi hai dare safdar..(2)

Is bayn se kulsoom pe ghash hogaya taari


Ek baar mujhe baba ka deedar kara do

Taboot chala ghar se to zainab ye pukari


Sau baar behen aap pe qurbaan ho bhai••

Comments

Popular posts from this blog

WAQT E AKHIR SHAHE WALA SE YE AKBAR NE KAHA | MAT DIKHANA MERI AMMA KO KALEJA BABA | LYRICS | HAIDER ALI SHIRAZI

Baraye Dil e Dukhtar | Nadeem Sarwar | Ali Jee | Nauha | Lyrics

Jab Rida Sar Se Chhini Mai Sada Deti Rahi | Tu na Aaya Ghazi | Urdu | Mir Hasan Mir Lyrics