Haye ALAMDAR | Mir Hasan Mir | Noha Lyrics
- Get link
- X
- Other Apps
Haye Alamadar Noha By Mir Hasan Mir
Karte hai matam Abbas as ka
Hogya marna sitam Abbas as ka
Haye Alamdar haye Alamdar as
Kehte the qamar tham ke yeh Seyyed e abrar
Haye Alamdar as haye Alamdar as
Yeh haal hai lashe ka sambhala nahi jata
Teer ankh se bhai ki nikala nahi jata
Imdad ko ajaiye Ya Haidar e Karar as
Zainab ne teri aas pe chora tha madina
Mai kese bataon use saqqa e Sakina
Mara gaya Zainab sa teri chadar ka nighedar
Tum qatal hui hum pe bhi yeh chal jaigi shamsheer
Agyar mai reh jaigi tanha meri hamsheer
Zainab sa ki rida bachne ke baqi nahi aasar
Jis tarha ghar laye the masjid se Ali as ko
Us tarha se le jainge khemay mai jari ko
Akber mere bhai ka janaza karo tayar
Bazoo bhi qalam hogaye aye bazuye Shabbir as
Tukray hai badam abkhon mai pe wast hua teer
Kis ne ye meri maa ki duaon pe kiya waar
Haye Alamdar haye Alamdar as
Aati hai sadaa loot lo Namoos e Nabi ko
Ab marna asaan hai Hussain ibn e Ali as ko
Marne pe tere jashan manate hai sitamgar
Akber as hamain mushkil se bohat layein hain bhai
Maidan mai girte hui hum ayein hain bhai
Ankhein to zara kholo mere munis o ghamkhuwar
Ik baat tumhain karb ki batlata hun bhaiya
Jab bhi koi masooma ke marega tamacha
Ro ro ke pukare ge Sakina sa tumhain har baar
Haye Alamdar haye Alamdar as
Tha mir taqalum yahi Shabbir ka noha
Jate hui pura karo armaan hamara
Aye bhai hamain bhai pukaro zara ik baar
- Get link
- X
- Other Apps
Comments
Post a Comment
Thank You for commenting us. We will shortly review you comment.