Celebrating the Birth of Imam al-Mahdi, the Awaited Savior

The Wiladat (birth) of Imam al-Mahdi, also known as Imam-e-Zamana or the Twelfth Imam, is a momentous occasion for Shia Muslims. This day marks the birth of the awaited savior who holds a special place in Islamic eschatology. Join us in exploring the significance of the Wiladat of Imam al-Mahdi and the joyous celebrations that accompany this auspicious event.   1. Birth of the Guiding Light:    The Wiladat of Imam al-Mahdi is celebrated on the 15th day of the Islamic month of Sha'ban. Believed to be born in 868 AD, this revered Imam is considered the twelfth and final successor in the lineage of Prophet Muhammad. Shia Muslims commemorate this day with profound gratitude, recognizing Imam al-Mahdi as the beacon of hope and justice.   2. Anticipation of the Mahdi's Return:    Imam al-Mahdi is believed to be in occultation, a state of concealment, and Shia Muslims await his return as the ultimate guide and justice-bearer. The Wiladat serves as a re...

Mai Paidal Chala Karbala | Farhan Ali Waris Noha Lyrics

 Noha: Main paidal chala karbala

Noha Khuwan Farhan Ali Waris


Husain (A.s.)…..5


Imam Jafar-E-Sadiq (A.s) Irshad Farmate Hai, ”Ke Jo Shaksh Imam Husain (A.s.) Ke Kabr Ki Taraf Paidal Chal Kar Aaya Allah (Aj) Us Ke Liye Har Kadaam Ke Badle 1000 Nakiya Likh Deta Hai Aur 1000 Gunah Maaf Kar Deta Hai Aur 1000 Darjaat Baland Kar Deta Hai.”


 


Labbaik Ya Husain(A.s)


Mai Ishq Ke Safar Pe Chala….2


Hare Ek Kadam Pe Karta Hua….. Shukr E Khuda


Mai Safar Pe Chala…..2


 


Jab Maine Sar Zameene Najaf Par Rakhe Kadam


Dil Ne Mere Irada Kia Ya Shahe Ummam (A.s.)


Ye Tujh Se Mohabbat Hai Meri…..2


Aau Jo Ziyarat Ko Teri….. Ibne Ali (A.s.)


Kar Le Qabool Mera Aqidat Bhara Salam


Paidal Najaf Se Karbobala Aaenga Gulam


Almadad Ya Shahe Karbala…..


Almadad Ya Shahe La Fatah….


 


Mai Paidal Chala Karbala…..5


Naaz Kismet Pe Karta Hua


Mai Paidal Chala Karbala…..3


 


Mere Sine Me Bachpan Se Armaan Tha,


Aa Gaya Gar Waha Se Bulawa Mera,


Shahe Marda (A.s.) Ke Dar Se Suwe Karbala,


Apni Pairo Pe Chalta Hua Jaunga,


Shukre Maula (A.s.) Who Din Aa Gaya,


 


Mai Paidal….


Zebe Tankar Kar Ke Ehraam E Gum Chal Dia


Khud Pe Naade Ali (A.s.) Kar Ke Dum Chal Dia


Ek Chota Sa Lekar Alam Chal Dia


Tha Nigaho Me Sheh (A.s.) Ka Haram Chal Dia


Jab Ye Izn E Safar Mil Gaya


 


Mai Paidal…..


Us Musafat Ka Ehwal Mujhse Suno,


Mai Najfa Se Chala Jis Ghadi Momino,


Yaad Karta Raha Maula Sajjad (A.s) Ko ,


Kya Kahun Hausla Jo Mila Dosto,


Har Kadam Nauha Padhta Hua,


 


Mai Paidal…..


 


Nauha Karte Hue Sogwar Aa Gai,


Jis Taraf Aankh Utthi Hazar Aagaie,


Farsh Par Arsh Se Pursadar Aagaie,


Thak Ke Baitha To Khidmat Guzar Aagaie,


Jis Ka Jee Chaha Jaise Chala


 


Mai Paidal…..


 


Chalte Chalte Jo Pairon Mein Chale Padhe,


Aa Gaie Yaad Sub Zakhm Sajjad (A.s) Ke,


Yaad Aaie Aseeron Ke Jub Hausle,


Yun Laga Jaise Chale Padhe Hi Na The,


Un Aseeron (A.s.) Ko Rota Hua


 


Mai Paidal…..


 


Imam Jafar E Sadiq (A.s.) Irshad Farmate Hai, “Jis Ne Imam Husain (A.s.) Ki Ziyarat Kar Li Goya Usne Rasoolallah (S.a.w.w.) Ki Ziyarat Kar Li.”


 


Sadiq E Aale Athar (A.s.) Se Bhi Suna,


Zairon Ke Liye Keh Gaye Mustafa (S.a.w.w.),


Jis Ne Dekha Haram Mere Shabbir (A.s.) Ka,


Us Ko Meri Ziyarat Hui Ba Khuda,


Is Aqidat Mein Behta Hua


 


Mai Paidal…..


 


Dunia Walon Yehi Ishk Ka Hai Safar,


Kamzan Ambiya Bhi Hai Is Rah Par,


Is Safar Ki Fazilat Se Ho Ba Khabar,


Sakht Sardi Ho Ya Sakht Garmi Magar,


Sub Ke Lab Par Hai Bas Ek Sada


 


Mai Paidal…..


 


Yadon Mein Hai Meri Abtak Woh Karwan…..2


 


Manzil Ko The Rawan, Kay Tifl Kya Jawan,


Parda Nasheen Sub Maan Behne Betiyan,


Hathon Me Ya Husain (A.S.) Ke Parcham Liye Hue,


Mausam Ki Fikr Thi Na Thakan Ke Moamle,


Badhte Rahe Husain (A.s.) Ke Janib Yeh Kafle,


Har Char Gaam Par The Moakkib Bane Hue,


Unme Tha Zaieereen Ki Rahat Ka Ehtemam,


Jinnat Aur Farishte Bhi Karte The Ehtemam,


Logon Ke Ajdaham Me Dekha Yeh Mojiza


Na Bhook Se Nidhal Na Pyasa Koi Mila,


Sadqa Mere Husain (A.s.) Ka Bat Ta Tha Char Su


Aati Thi Rotiyon Se Mano Salva Ki Khushboo


Naqabil E Bayan Hai Jo Ehtemam The


Kuze Jo The Sabeel Pe Kausar Ke Jam The


Han Zair E Husain (A.s.) Ke Pairon Ki Khaak Se


Na Jaane Kitne Log Shifayab Hote The


Aksar Yeh Zaieereen Ke Kanon Ne Bhi Suna


Aati Hai Husain (A.s.) Ke Rauze Se Ek Sada


Yeh Log Mohtaram Hai…..4 Hamari Nigah Mein


Abbas (A.s.) Zaireen Ko Lelo Panah Mein


 


Labbaik Ya Husain (A.s.)


Saya Sar Pe Alamdar (A.s.) Ka


 


Mai Paidal…..


 


Zairon Se Main Sun Ta Tha Aksar Yehi


Chahe Jis Raaste Se Bhi Jaaie Koi


Pehle Hongi Ziyarat Alamdar (A.s.) Ki


Bad Mein Kabre Shahe Zaman (A.s.) Aaiengi


Janne Ko Yeh Sub Majra


 


Mai Paidal…..


 


Aaya Jub Samne Rauza Shabbir (A.S.) Ka


Gir Ke Be Sakhta Main Ne Sajda Kiya


Apne Maula (A.s.) Se Sajde Mein Ro Kar Kaha


Maangne Kutch Nahi Aaya Mai Ba Khuda


Shauk Teri Ziyarat Ka Tha


 


Mai Paidal…..


 


Imam Jafar E Sadiq (A.s.) Ne Irshad Farmaya, “ Imam Husain (A.s.) Ki Ziyarat Tamam Aamal Se Afzal Hai, Jo Shaks Imam Husain (A.s.) Ke Haq Ki Marefat Rakhte Hue Unki Kabr Par Aaienga Woh Us Shaks Ki Tarha Honga Jisne Rasulallah (S.a.w.w.) Ke Sat 100 Haaj Kiye Ho, Agar Tum Me Se Ek Admi Sari Zindagi Haaj Karta Rahe Aur Usne Husain Ibne Ali (A.s.) Ki Ziyarat Na Ki Ho To Who Allah (A.J.) Aur Uske Rasool (S.a.w.w.) Ke Haq Ka Tariq Hoga, Kyunke Husain (A.s.) Ka Haq, Allah (A.J.) Ke Un Faraiz Mein Se Hai Jo Ke Har Musalman Par Wajib Hai


 


Keh Di Yeh Baat Mazhar Ne Farhan Se


Haaj Pe Jaana Tha Pichle Baras To Mujhe


Main Ne Jaana Jo Kaabe Se Afzal Ushe


Karbala Ke Hi Phir Mai Ne Samaan Kiye


Phir Najaf Se Hi Rota Hua


 


Mai Paidal…..

Comments

Popular posts from this blog

WAQT E AKHIR SHAHE WALA SE YE AKBAR NE KAHA | MAT DIKHANA MERI AMMA KO KALEJA BABA | LYRICS | HAIDER ALI SHIRAZI

Baraye Dil e Dukhtar | Nadeem Sarwar | Ali Jee | Nauha | Lyrics

Jab Rida Sar Se Chhini Mai Sada Deti Rahi | Tu na Aaya Ghazi | Urdu | Mir Hasan Mir Lyrics