Celebrating the Birth of Imam al-Mahdi, the Awaited Savior

The Wiladat (birth) of Imam al-Mahdi, also known as Imam-e-Zamana or the Twelfth Imam, is a momentous occasion for Shia Muslims. This day marks the birth of the awaited savior who holds a special place in Islamic eschatology. Join us in exploring the significance of the Wiladat of Imam al-Mahdi and the joyous celebrations that accompany this auspicious event.   1. Birth of the Guiding Light:    The Wiladat of Imam al-Mahdi is celebrated on the 15th day of the Islamic month of Sha'ban. Believed to be born in 868 AD, this revered Imam is considered the twelfth and final successor in the lineage of Prophet Muhammad. Shia Muslims commemorate this day with profound gratitude, recognizing Imam al-Mahdi as the beacon of hope and justice.   2. Anticipation of the Mahdi's Return:    Imam al-Mahdi is believed to be in occultation, a state of concealment, and Shia Muslims await his return as the ultimate guide and justice-bearer. The Wiladat serves as a re...

Zafar e Jinn | Ana Zafar e Jinn | Noha Lyrics

 Noha 2018 2019

Noha Khuwan:Meesum Abbas

Noha:Zafar-e-Jin (RA)

Ghulam e Fatah e Beerul Alam Main Zafar Hoon

Qaum e Jinnat Ka Shah e Ummam Main Zafar Hoon

Khaas Mujh Per Hai ALI (ASWS) Ka Karam Main Zafar Hoon

Aaj Rota Hoon Magar

Thaam Kar Apna Jigar

Dasht Main Mara Gaya

Mere Aaqa Ka Pisar


Hai Ye Afsos Me Mojood Raha 

Jaan MAULA (ASWS) Pe Fida Karnasaka

Haye Kuch Kar Na Saka… Zafar E Jinn


…Suno Main Tum Ko Batata Hoon Waqaya Jo Hua

…Roze Ashoor Tha Pehla Hua Tha Raaj Mera

…Vo Mere Jashn Ka Din Tha Saja Tha Taaj Mera


Do Ghulaamon Ne Mere Aake Kaha Ae Maalik

Jiske Baba Ke Sabab Taj Mila Ae Maalik

Qatl Hota Hai Jo Malik He Tera Ae Malik

Hogaya Hashr Bapa

Taj Pairon Me Gira

Apne Lashkar Ko Liye

Main Chala Karbobala


Meri Parwaz......


Meri Parwaaz Hui Shehre Musayyab Pe Tamaam

Mujhko Tahad-e-Nazar Aya Nazar Lashkare Shaam

Main Barha Agay Ke Miljayen Mujhe Mere IMAM (ASWS)

Ruk Gaye Mere Qadam…Ruk Gaye Mere Qadam…


Jahan SHABBIR (ASWS) Ko Insanon Ne Tanha Dekha

Meri Aankhon Ne Wahan Laakhon Ka Majma Dekha

Ambiya Bhi They Malaaik They Ajinnah They Kharay

Aisi Noorani Bashar They Ke Nazar Na Tehre


Ek Jaanib The RASOOL E ARABI(SAWS), Ek Jaanib They ALI (ASWS), Ek Jaanib HASAN IBNE ALI (ASWS)

Phir Na Aankhon Ko Mere Taab Rahi, Maine ZEHRA (SAWS) Ki Sawaari Dekhi


Apni Nazron Ko Jhuka Kar Jo Hataya Peeche

Nabi Adam (as) , Nabi Musa(as) , Nabi Haroon (as) Dikhe

Isa (as) o Yusuf (as) o Yaqoub (as) Bhi Pehlu Main Mile

Hud (as) aur Lut (as) Kahin Nuh (as) Kahin Khizr (as) Kaheen

Zikriya (as) Yarmiya(as) Aur Shees (as) O Sulaiman (as)Bhi They


Mukhtasir Ye Ke Nabi Saare Wahaan They Maujood 

Un Ke Peeche Thi Malaaik Ki Qataarain Maujood

Farishte Gaane Jahanumm - Farishte Gaane Bahisht

Israel, Israfeel, Mikael, Dardaeel

Rizwan aur Maalik, Fitrus Wa Jibrael


Saath SHABBIR (ASWS)Ke Maujood They Sab Aali Muqaam

Maine Socha Ke Kahan Jaaye Bhala Adna Ghulam

Mujhko Pehchaan Bhi Paayen Ya Nahi Mere Imam

Haaye Umeed Meri Dil Me Murjhaane Lagi

Ke Achanak Se Wahan Ye Sada Aane Lagi

Aao Zaafar Aao Zaafar

Aao Zaafar Tumhe SHABBIR (ASWS) Ne Bulwaya He


Zafar E Jinn Ana Jafar E Jin


Pohoncha Qadmo Me Kaha Maula Shahe Jinn o Bashar

Ho Salam Aap Pe Iss Jinn Ka Shahe Jinn o Bashar

Hukm Pe Aapke Hoon Fidya Shahe Jinn O Bashar

Dil Mera Doob Gaya

Jab Ye MAULA (ASWS) Ne Kaha

Tum Palat Jaao Agar

Hone Aaye Ho Fida


Maine MAULA (ASWS) Se Kaha Izn Mujhe Den Shahe Deen

Bolay SHABBIR (ASWS) Ye Jinnat Ki Hai Jung Nahi

Main Ye Bola Kahan Insa’n Hen Darinde Sabhi

Bolay SHABBIR (ASWS) Ke Nana Ki Ye Ummat He Meri

Inhe Tum Kuch Na Kaho, Inhe Tum Kuch Na Kaho


Tum Hi Batlao Jiyoon Kaise Bhala Me Zafer

Aao Dikhlaaon Tumhe Karbobala Main Zaafar

Janisaaron Ke Janaaze Dekho

Mere Pyaaron Ke Ye Laashe Dekho

Tukre QASIM (ASWS) Ka Saraapa Dekho

Zakhmi AKBAR (ASWS) Ka Kaleja Dekho

Kaheen ABBAS (ASWS) Ke Baazu Kaheen ASGHAR (ASWS) Ka Gulu

Run Me Bikhra He Sabhi Bani Hashim Ka Lahu


Dil Ko Ab Taab Nahi Phatne Laga He Ye Jigar

Isse Agay Main Bayaan Karnahi Sakta Manzar

Mukhtasir Ye Ke Huay Qatl Shahe Jinn O Bashar

Wada ABID (ASWS) Se Kiya

Main Hoon Masroof E Aza

Jab Talak Zinda Raha

Main Karoonga Girya


Tha Yahi Mesum o Salman Kalaam E Zaafar

Karbala Main Hain Jahan Dafn IMAM E Zaafar (ASWS)

Usse Kuch Door Hai Maujood Muqaam E Zaafar

Zafar E Jinn Ne Kiya

Apne Waade Ko Wafa

Aakhri Saans Talak

Thi Labon Par Ye Sada

Comments

Popular posts from this blog

WAQT E AKHIR SHAHE WALA SE YE AKBAR NE KAHA | MAT DIKHANA MERI AMMA KO KALEJA BABA | LYRICS | HAIDER ALI SHIRAZI

Baraye Dil e Dukhtar | Nadeem Sarwar | Ali Jee | Nauha | Lyrics

Jab Rida Sar Se Chhini Mai Sada Deti Rahi | Tu na Aaya Ghazi | Urdu | Mir Hasan Mir Lyrics