Zinda me Sakina Abid Se Keh Rahi hai | Nazim Party | Noha Lyrics
- Get link
- X
- Other Apps
Noha: zindan main sakina sa abid se keh rhi hai
reciter nazim party
zindaan main sakina aabid say keh rahi hai
dam ghuT raha hai bhaiya yeh raat aaKhri hai
jala maera kurta chinae gooshwaray
sitam gar nay mujh ko tamachae hain maaray
satatae hain mujh ko yeh baba kae qatil
yeh dukhiya dukhi aur kis ko pukarae*
baba kae qatiloon say her giz qafan na laena
hae yeh maeri wasiyaat khowahish maeri yehi hae
sakina pae bhaiya kaThan yeh hui hai
aseeri jo mujh per musibat baRi hai
watan yaad aata hai bhaiya chalo ghar
madinae ki rahoon pae sughra khaRi hai
her shaam yeh parindae jaatae hain apnae ghar ko
kub jaoon gi watan main ro kar wo poochti hai
zameen par main zindaan ki sooteen hoon baba
main ashkoon sae daman bhi dhooti hoon baba
khudara mujhae paas apnae bulalo
juda ho kae tum sae main roti hoon baba
sadiyan guzar chukeen hain ab bhi her aik mohib ko
zindan say siskiyoon ki aawaaz aa rahi hai
- Get link
- X
- Other Apps
Comments
Post a Comment
Thank You for commenting us. We will shortly review you comment.