Posts

Showing posts from October, 2022

Celebrating the Birth of Imam al-Mahdi, the Awaited Savior

The Wiladat (birth) of Imam al-Mahdi, also known as Imam-e-Zamana or the Twelfth Imam, is a momentous occasion for Shia Muslims. This day marks the birth of the awaited savior who holds a special place in Islamic eschatology. Join us in exploring the significance of the Wiladat of Imam al-Mahdi and the joyous celebrations that accompany this auspicious event.   1. Birth of the Guiding Light:    The Wiladat of Imam al-Mahdi is celebrated on the 15th day of the Islamic month of Sha'ban. Believed to be born in 868 AD, this revered Imam is considered the twelfth and final successor in the lineage of Prophet Muhammad. Shia Muslims commemorate this day with profound gratitude, recognizing Imam al-Mahdi as the beacon of hope and justice.   2. Anticipation of the Mahdi's Return:    Imam al-Mahdi is believed to be in occultation, a state of concealment, and Shia Muslims await his return as the ultimate guide and justice-bearer. The Wiladat serves as a re...

Bataau aapko Kya aali Shaan hai Qura'n | Bataau aapko Kya aali Shaan hai qur'a'n | Beautiful Lyrics

*Bismillah hirrehmaan nirraheem* *Mere Rasool ke ghar ki _zaban_ hai Quraa'N..* Qhafiya: Zaban Radeef: hai Quraa'N.. *میرے رسول کے گھر کی _زبان_ ہے قرآں* Bataau aapko Kya aali Shaan hai qur'a'n Jahaan ke liye amn o Amaan hai qur'a'n Bass ek kitaab ki soorat mey dekhta hai jahaa'n Fazeelatey to Teri Aasmaan hai qur'a'n Andheyra kabsey hai kardey ye qalb ko raushan Ye Mera qalb bhi tera Makaan hai qur'a'n Agar jahaan mey har Roz padh rahaa hai to Baroz e hashr tera Saayabaan hai qur'a'n Rakho na Ghar mey sajaakar isey zaroor padho Dil e mareez ki ye Itmenaan hai qur'a'n Balaa hai Sarr pey pareyshaan o ghumzada phir bhi Mujhey kyu qauf merey Darmiyaan hai qur'a'n Ba naam e kausar o alhamd o waaqeya jaisey Kayii gulo'n se bharaa Gulsitaan hai qur'a'n Yazeediyat sarr e aashoor hai khadaa hairaa'n Liye Jo saamney Teer o Kamaan hai qur'a'n Kitaab e Deen e qudaa ko qamoosh mat samjho *Merey rasool ...

Mere Raqeeb Mere Azm ko Jila Dena | Merey raqeeb Merey azm ko jilaa deyna | Manqabat Lyrics | Farshe Aza Azmat

Full kalaam Bismillah hirrehmaan nirraheem Merey raqeeb Merey azm ko jilaa deyna Ba waqt e marg bhi jeeney ka hausla deyna Jo karbalaayi Kafan dhoondney me dikkat ho To meri laash pey FARSH E AZAA udha deyna Saqeefa waaley ka sheywa hai baddua deyna Husain waaley ka sheywa hai bass Dua deyna Ye dars nok e sinaa se Husain Ney hai diyaa Khuda ke Dee'n ki hifaazat mey sarr kataa deyna Khuda ke baad ye Abbas ko hi aata hai Bagair haath ke kashkol ko bharaa deyna Wo teyz teyz se Quran ratrahey they magar Padaa hai mehnga unhey uska tarjuma deyna Khuda ke sajdey se hatkar majhaal kismey hai ? Jahaa'n mey Hyder e karrar ko rulaa deyna My mushkilo'n mey Ali ko pukaar leta hoon Tu teen mey se kisii eak ko bulaa deyna Agarchey poochey koi hai Husain tera kahaa ? To apney seeney pey tum maarkar Bataa deyna Badey bado'n se duaao'n ka chaahta hai qubool ? Faqat sakina ka Gaazi ko Waasta deyna Kahaa rabaab Ney asgar se, aye merey beta Misaal e murtuza maidaa'n mey muskuraa de...

Ye dushman e zehra pey tabarrey ka silaa hai | Eid e Zehra Manqabat | Tabarra ki Barkat | Lyrics

*Bismillah hirrehmaan nirraheem* Ye dushman e zehra pey tabarrey ka silaa hai Jannat jo azadar ke khadmo'n padaa hai Makhsoos riwaayat hai ye Islam mey dekho Man kunto rasool e Arabi kisko kahaa hai Asgar ki hasii dekhkey kehney lagey sab Gul Ye kaunsa hai phool Jo sehra mey khilaa hai Maa kehti thi marhab ki tu Hyder se na ladnaa Ye naam hi dunya ke shujaa'at mey badaa hai Haibat se hi qudd margaye dushman sarr e maidaa'n Abbas to Aaraam se saahil pey khadaa hai Abbas ko khanjar ki zaroorat hi nahi hai Nazrey hi dilaawar ki layeeno'n ki qazaa hai Parcham se bandhaa aaj bhi hai mashk e sakina Ammu se bahteeji na judaa thi na judaa hai Jitney bhi hai beemaar chaley aaye merey paas Tum sabki dawaa merey yahaa qaak e shifaa hai Kuch aur hi padhney ka mazaa badhney lagii hai Quran ki naizey pey bayaa'n jabsey sunaa hai Bhooley se bhi bhoolo nahi tum Jung e ohad ko Ladtaa rahaa bass eak har ek bhaag rahaa hai Mat samjho hamey aam musalmaan aye mulla Hum khaum nahi fatema...

Hai dono jahaa'n mey hukoomat Raza ki | Maula Raza Manqabat | Lyrics

*Bismillah hirrehmaan nirraheem* *Hai dono jahaa'n mey hukoomat Raza ki* Har ek lafz qura'n ki aayat Raza ki Har ek she'y pey hai dekho khudrat Raza ki Tu Dil mey basaaley mohabbat Raza ki Tujhey bhii mileygi shifaa'at Raza ki Farishtey sajaatey hai saara madeena Sunaa jabsey hogi wilaadat Raza ki Kahaa haskey kaazim ney godii mey leykar Merey jadd ke jaisii hai soorat Raza ki Ho mushkil mey momin munaafikh koi bhi Bachaaney ki sabko hai aadat Raza ki Usii ki tamanna jinaa'h karrahi hai Dilo'n mey hai jiskey bhii ulfat Raza ki Zamee'n Chaand sooraj sabhi par hai khaayam Sadaarat khuda ki nizaamat Raza ki Bayaa'n karrahey hai jo ahley mawaddat Ye mehfil sajaakar fazeelat Raza ki Imam e Raza ki hai jis Ghar pey parcham Barastii hai us Ghar pey rehmat Raza ki Farishto'n ka lashkar usey gheyrleyga Jo kartaa hai mehfil mey midhat Raza ki Ye nobat sadaa raat din deyrahii hai Ye dunya hai baaqi badaulat Raza ki Nabi ki ziyaarat se mehroom hai gar To jaa, ja...

Hum garibon ka faqat hai aasra maula raza. (a.s.) | Munajat Imam e Reza AS | Lyrics

*Hum garibon ka faqat hai aasra maula raza.* (a.s.) *Bismillah hirrehmaan nirraheem* Likh rahaa hoon my qaseeda aapka maula Raza Mushkilo ko taaldo mushkil kusha maula Raza Jab sajaayi koi mehfil aapki Maula Raza Mera Ghar bhi misl e Jannat bangaya maula Raza Jo mareez e laadawaa hai sabko dey deejey shifaa Darr pey aakar maangtey hai hum dua maula Raza Rizq rozii kaamiyaabi Deen dunya aur shifaa Aapke darbaar se sab Kuch milaa maula Raza Saari dunya ke ameero ko paseena aagaya Dekhkar Mash'had mey rauza aapka maula Raza Har azadar e Husain ibn e Ali ke waastey raat din rehta Hai tera darr khulaa maula Raza Baab e toosii se gaya andar to dil kehney lagaa Ye jinaa hai yaa ke rauza aapka maula Raza Husn par uskey zuleyqa kyu na gash khaatii bhalaa Husn e yousuf asl hai sadqa tera maula Raza Jabke kun kehney se hi jaan aagayi hai Sher mey Kyu kahuu na aapko sher e qudaa Maula Raza ? Har ghadi mehwey ziyaarat sirf insaa'n hi nahi Aapke rauzey pey hai sab ambiyaa maula Raza Inka wa...

Jab Ali Musa Raza wird e zabaa' rehta Hai | Jab Ali Musa Raza wird e zaban rehta Hai | Manqabat Imam Ali Raza AS | Lyrics

Jab Ali Musa Raza wird e zabaa' rehta Hai Daad deney ko farishta bhi khadaa rehta Hai Gar Mera Ghar kahi taameer kiyaa rehta Hai Parcham e Maula Raza uspey sajaa rehta Hai Ghar to Kya ishq e Ali Musa Raza ki qaatir Ek azakhana merey dil mey sajaa rehta Hai Dil bohat door galaa kaatkey qoo mey dekho Zikr e Maula mey har ek qatra rawaa rehta Hai Ek Najaf mey darr e tauba Hai Ali ka maujood Doosra toos ki waadi mey khulaa rehta Hai Laa dawaa koi maraz ho to chaley bhii jao Shehr e Mash'had mey khulaa sehn e shifaa rehta Hai Kya jalaa paayegi hoto'n ko jahannam ki aag Merey hoto'n pey sadaa zikr e Raza rehta Hai Jab kabhi Sher e qudaa lafz ko my dekhta hoon Sher khaaleen ka nazro mey samaa rehta Hai Lekey hum naam e Ali daar pey chad jaatey Hai Aur koii naam e Ali se hi jalaa rehta hai Jaha geebat ho mazaaq aur chugalkhori ho Aisi mehfil mey Mera Maula kahaa rehta Hai ? Mushkiley *"GAAZI"* ke darr par nahi aayengey kabhi Kyunkey Wo sarr darr e ZEHRA(sa) pey jhukaa...

Shabbir a.s Madine se Gar Hind may Aa jate | Shabbir a.s Madine se Gar Hind may Aajate | Farhan Ali Waris Manqabat | Lyrics

Do jag ke paalan haar kul hind ke autaar Shabbir (a.s) Mere Aaqa Shabbir a.s mere maula ,, Hriday may jaga paate Jeevan may sama jaate Shabbir (a.s) Madine se gar Hind may Aajate ,, 1) Kuch kaal Na pad Jaata Sansar may Pani ka Do boond agar Zaalim Asghar a.s ko pila Jaate, Shabbir a.s madine se.. 2) Un Logon ne Maula a.s ko Kaanto pe Chalaya Tha Palkon ko Bichate Hum Jis aur bhi wo Jaate ,, Shabbir a.s madine se.. 3) Ganga ke Kanare par Ghazi a.s ka Alam Sajta Is Hind ki Shohbha ko wo Aake Badha Jaate ,, Shabbir a.s madine se.. 4) Is Desh may Aa jata Sundar sa Parivartan Har dharm ki Jan'ta ko Khud Kalma padha Jaate ,, Shabbir a.s madine se.. 5) Shabbir a.s ko Jan'ta ki Chahat na Agar Hoti Na Goud ke Paalon ko matti may Mila Jaate ,, Shabbir a.s madine se.. 6 Shabbir a.s ke Bachon ke Yun Naaz utha-te Hum Aakash ke Taa'ron ko Charno my Bicha Jaate ,, Shabbir a.s madine se.. 7) Baali na Koi Chinti, Chinti na Koi Chadar Ravan ke Pujari Na Khaimo ko Jala Jaate ,, Shabbir a.s m...