Celebrating the Birth of Imam al-Mahdi, the Awaited Savior

The Wiladat (birth) of Imam al-Mahdi, also known as Imam-e-Zamana or the Twelfth Imam, is a momentous occasion for Shia Muslims. This day marks the birth of the awaited savior who holds a special place in Islamic eschatology. Join us in exploring the significance of the Wiladat of Imam al-Mahdi and the joyous celebrations that accompany this auspicious event.   1. Birth of the Guiding Light:    The Wiladat of Imam al-Mahdi is celebrated on the 15th day of the Islamic month of Sha'ban. Believed to be born in 868 AD, this revered Imam is considered the twelfth and final successor in the lineage of Prophet Muhammad. Shia Muslims commemorate this day with profound gratitude, recognizing Imam al-Mahdi as the beacon of hope and justice.   2. Anticipation of the Mahdi's Return:    Imam al-Mahdi is believed to be in occultation, a state of concealment, and Shia Muslims await his return as the ultimate guide and justice-bearer. The Wiladat serves as a re...

Hai dono jahaa'n mey hukoomat Raza ki | Maula Raza Manqabat | Lyrics

*Bismillah hirrehmaan nirraheem*
*Hai dono jahaa'n mey hukoomat Raza ki*
Har ek lafz qura'n ki aayat Raza ki
Har ek she'y pey hai dekho khudrat Raza ki
Tu Dil mey basaaley mohabbat Raza ki
Tujhey bhii mileygi shifaa'at Raza ki
Farishtey sajaatey hai saara madeena
Sunaa jabsey hogi wilaadat Raza ki
Kahaa haskey kaazim ney godii mey leykar
Merey jadd ke jaisii hai soorat Raza ki
Ho mushkil mey momin munaafikh koi bhi
Bachaaney ki sabko hai aadat Raza ki
Usii ki tamanna jinaa'h karrahi hai
Dilo'n mey hai jiskey bhii ulfat Raza ki
Zamee'n Chaand sooraj sabhi par hai khaayam
Sadaarat khuda ki nizaamat Raza ki
Bayaa'n karrahey hai jo ahley mawaddat
Ye mehfil sajaakar fazeelat Raza ki
Imam e Raza ki hai jis Ghar pey parcham
Barastii hai us Ghar pey rehmat Raza ki
Farishto'n ka lashkar usey gheyrleyga
Jo kartaa hai mehfil mey midhat Raza ki
Ye nobat sadaa raat din deyrahii hai
Ye dunya hai baaqi badaulat Raza ki
Nabi ki ziyaarat se mehroom hai gar
To jaa, jaakey karley ziyaarat Raza ki
Kayii hajj merey naam likkhey Gaye hai
My bass Karkey aaya ziyaarat Raza ki
Nakeerain Khush hokey sunney lagey hai
Jo karney lagaa Hoon my midhat Raza ki
Na samjho zamee'n Tak hi mehdood hogi
*Hai dono jahaa'n mey hukoomat Raza ki*
Asad paav chookar ye samjhaa rahaa hai
Aye maamoon, Pehchaan taaqat Raza ki
Usey toos jaaney se rokeyga ab kaun
Jisey milgayi hai ijaazat Raza ki
Ye Jo likhrahaa hai tu *"GAAZI"* qaseedey
Yaqeenan hai tujhpar Inaayat Raza ki
-Az Qalam e *"GAAZI"*
23/07/18.

Voice of Karbala - Broadcast message of love & protests against terrorism since 1400 Yrs. Humanity is nothing without Karbala. All Noha, Marsiya, Salam, Shayari, Sher, Soz, Manqabat, Qasida Lyrics 2022. Find your favourite Noha, Marsiya, Manqabat, Qasida, Soz, Salam Lyrics. If not find the Lyrics Just Inform Us by Commenting on Any of the Previously Uploaded Lyrics and we will upload the same for you.

Comments

Popular posts from this blog

WAQT E AKHIR SHAHE WALA SE YE AKBAR NE KAHA | MAT DIKHANA MERI AMMA KO KALEJA BABA | LYRICS | HAIDER ALI SHIRAZI

Baraye Dil e Dukhtar | Nadeem Sarwar | Ali Jee | Nauha | Lyrics

Jab Rida Sar Se Chhini Mai Sada Deti Rahi | Tu na Aaya Ghazi | Urdu | Mir Hasan Mir Lyrics