Celebrating the Birth of Imam al-Mahdi, the Awaited Savior

The Wiladat (birth) of Imam al-Mahdi, also known as Imam-e-Zamana or the Twelfth Imam, is a momentous occasion for Shia Muslims. This day marks the birth of the awaited savior who holds a special place in Islamic eschatology. Join us in exploring the significance of the Wiladat of Imam al-Mahdi and the joyous celebrations that accompany this auspicious event.   1. Birth of the Guiding Light:    The Wiladat of Imam al-Mahdi is celebrated on the 15th day of the Islamic month of Sha'ban. Believed to be born in 868 AD, this revered Imam is considered the twelfth and final successor in the lineage of Prophet Muhammad. Shia Muslims commemorate this day with profound gratitude, recognizing Imam al-Mahdi as the beacon of hope and justice.   2. Anticipation of the Mahdi's Return:    Imam al-Mahdi is believed to be in occultation, a state of concealment, and Shia Muslims await his return as the ultimate guide and justice-bearer. The Wiladat serves as a re...

Mere Raqeeb Mere Azm ko Jila Dena | Merey raqeeb Merey azm ko jilaa deyna | Manqabat Lyrics | Farshe Aza Azmat

Full kalaam
Bismillah hirrehmaan nirraheem
Merey raqeeb Merey azm ko jilaa deyna
Ba waqt e marg bhi jeeney ka hausla deyna
Jo karbalaayi Kafan dhoondney me dikkat ho
To meri laash pey FARSH E AZAA udha deyna
Saqeefa waaley ka sheywa hai baddua deyna
Husain waaley ka sheywa hai bass Dua deyna
Ye dars nok e sinaa se Husain Ney hai diyaa
Khuda ke Dee'n ki hifaazat mey sarr kataa deyna
Khuda ke baad ye Abbas ko hi aata hai
Bagair haath ke kashkol ko bharaa deyna
Wo teyz teyz se Quran ratrahey they magar
Padaa hai mehnga unhey uska tarjuma deyna
Khuda ke sajdey se hatkar majhaal kismey hai ?
Jahaa'n mey Hyder e karrar ko rulaa deyna
My mushkilo'n mey Ali ko pukaar leta hoon
Tu teen mey se kisii eak ko bulaa deyna
Agarchey poochey koi hai Husain tera kahaa ?
To apney seeney pey tum maarkar Bataa deyna
Badey bado'n se duaao'n ka chaahta hai qubool ?
Faqat sakina ka Gaazi ko Waasta deyna
Kahaa rabaab Ney asgar se, aye merey beta
Misaal e murtuza maidaa'n mey muskuraa deyna
Ye kehrahey they Mohammad se Aoun, Bhai suno
Hamey hai dushman e shabbir ko mitaa deyna
Ujaala karney Bahattar charaag niklengey
Husain, aap faqat ek Diya bujhaa deyna
Bahaaya my Ney ye aansu Husain ke ghum mey
Majhaal kismey hai iska mujhey silaa deyna
Jinaa' mey *"GAAZI"* ko dekhaa to bol uthey meesam
Merey Ali ke tu ash'haar Kuch sunaa deyna
-Az Qalam e *"GAAZI"*
24/06/18.



Voice of Karbala - Broadcast message of love & protests against terrorism since 1400 Yrs. Humanity is nothing without Karbala. All Noha, Marsiya, Salam, Shayari, Sher, Soz, Manqabat, Qasida Lyrics 2022. Find your favourite Noha, Marsiya, Manqabat, Qasida, Soz, Salam Lyrics. If not find the Lyrics Just Inform Us by Commenting on Any of the Previously Uploaded Lyrics and we will upload the same for you.

Comments

Popular posts from this blog

WAQT E AKHIR SHAHE WALA SE YE AKBAR NE KAHA | MAT DIKHANA MERI AMMA KO KALEJA BABA | LYRICS | HAIDER ALI SHIRAZI

Baraye Dil e Dukhtar | Nadeem Sarwar | Ali Jee | Nauha | Lyrics

Jab Rida Sar Se Chhini Mai Sada Deti Rahi | Tu na Aaya Ghazi | Urdu | Mir Hasan Mir Lyrics