Celebrating the Birth of Imam al-Mahdi, the Awaited Savior

The Wiladat (birth) of Imam al-Mahdi, also known as Imam-e-Zamana or the Twelfth Imam, is a momentous occasion for Shia Muslims. This day marks the birth of the awaited savior who holds a special place in Islamic eschatology. Join us in exploring the significance of the Wiladat of Imam al-Mahdi and the joyous celebrations that accompany this auspicious event.   1. Birth of the Guiding Light:    The Wiladat of Imam al-Mahdi is celebrated on the 15th day of the Islamic month of Sha'ban. Believed to be born in 868 AD, this revered Imam is considered the twelfth and final successor in the lineage of Prophet Muhammad. Shia Muslims commemorate this day with profound gratitude, recognizing Imam al-Mahdi as the beacon of hope and justice.   2. Anticipation of the Mahdi's Return:    Imam al-Mahdi is believed to be in occultation, a state of concealment, and Shia Muslims await his return as the ultimate guide and justice-bearer. The Wiladat serves as a re...

Jashn e Amad E Rasul | 12 Rabi Ul Awwal ta 17 Rabi Al Awwal | Wiladat Tajdare Ambiya | Sarkare Do Alam | Hazrat Mohammad Saww | Manqabat | Lyrics

Sardar-e-malak ke bhi hain sardaar mohammad (s)
kul ambiya k sayyad-o-mukhtaar mohammad (s)
Paigham-e-ilaahi k wafadaar mohammad (s)
Aur shah-e-karbala k azaadaar mohammad (s)
.....Inki barabari ki jo koshish bhi karega
.....Dozaq milega usko wo be maut marega
Hasil hai inko aala sharaf sath me nisbat
Khaliq ne banaya hai sarasar inhey rahmat
Hasil kisi ko aisa martabaa naa ye azmat
Jitney bhi Ambiya hai unhey insey hai ulfat
........Allaah inko aour ye Allaah ko pasand
........Firdous inkey dushmano k wastey hai band
Meraj usney dekey inhey wo sharaf diya
Jissey na musharraf tha koi aur ambiya
Kul ambiya se inkey waastey halaf liya
har rijs-o-najasat ko insey bartaraf kiya
.....Mahboob is qadar hai k habeeb(s) pukara
.....Har Ashiqu-e-Nabi ka phir naseeb sawara
Har ambiya k dil ka hain eemaan mustafa (s)
Shan-e-uloohiyat ki bhi pahchaan mustafa (s)
Kul kaayenaat aap par qurbaan mustafa (s)
Haider(a) ki shaan Fatema (s) ki jaan mustafa (s)
.Sajdey me sar Rasool(s) ka aur pusht par Husain(a)
..Ek Aamena ke laal hain Ek Fatema (s) k chain
Daaman me gunahoan ko samete huwey hain ham
Dil mera pashemaan hai aur aankh bhi hai nam
Maqbooliyat ka meri duwa me nahi hai dam
Ummeed shifaaat ki hai baa ulfat-o- karam
.....Ashaar merey meri aqeedat ke phool hain
....Haider Nabi ke ishq me gham bhi qubool hai

Voice of Karbala - Broadcast message of love & protests against terrorism since 1400 Yrs. All Noha, Marsiya, Salam, Soz, Manqabat, Qasida Lyrics 2022.

Comments

Popular posts from this blog

WAQT E AKHIR SHAHE WALA SE YE AKBAR NE KAHA | MAT DIKHANA MERI AMMA KO KALEJA BABA | LYRICS | HAIDER ALI SHIRAZI

Baraye Dil e Dukhtar | Nadeem Sarwar | Ali Jee | Nauha | Lyrics

Jab Rida Sar Se Chhini Mai Sada Deti Rahi | Tu na Aaya Ghazi | Urdu | Mir Hasan Mir Lyrics